chandamama dur ke, puye pakaayen boor ke
aap khaayen thaali mein, munne ko de pyaali meinpyaali gayi toot munna gaya rooth
laayenge nayi pyaaliya baja baja ke taaliyaan
munne ko manaayenge ham doodh malaayi khaayenge,
chandamama …
udankhatole baith ke munna chanda ke ghar jaayega
taaron ke sang aankh michauli khel ke dil behlayega
khel kood se jab mere munne ka dil bhar jaayega
thumak thumak mera munna vaapas ghar ko aayegaa,
chandamama …
**********************
Titlee uree
Urh na sakee
Bus may baithee
Seat na milee
Bus driver bola
Aaja meray paas
Titlee bolee
Chal badmaaaash!!
**********************
Bul Bul ka bacha
khata tha kichRi
peeta tha paani
aik din akela
beTha hua tha
maiN nae uRaya
wapis na aaya
bul bul ka bacha
**********************
Akkar bakkar bumbay baw
Assi naway poorai saw
Saw mai laga dhaga
Choar nikkal kai bhaaga
Rail aaye chuk chuk
Anda Double roti biskut
**********************
eik tha raja
eik thee rani
dono milgaye
khatam kahanee
**********************
Choonchoo choonchoo chacha
ghari par chooha nacha
ghari ne aik bajaya
chooha neechay aaya
Abbu ji nay pakra
Ammi nay pakaaya
Sab nay mil kar khaya
Bara maza aaya!
**********************
Mota Aloo pllpila, Buhu ko ley kar ghir para
Buhu gaee Nalay me, Mota gaya thane mey.
**********************
Mota pait
sadak per late
gaari ayi phat gaya pait
gaari ka number 428
**********************
aik tha larka tot batot
Naam tha uss ka Mir salot
Pita tha woh Soda water
khata tha badaam akhrot
**********************
one day cricket
khelengey cricket
marengey chakka
tooteyga sheesha
ayegi police
jayenge thaaney
mareengey dandey
khaaingey andey
**********************
hari thi man bhari thi
no laakh moti jari thi
raja jee k baag main
doshala ohrey khari thi
**********************
tum mere dost ho
billi k gosht ho
**********************
cham cham cham
aath aaney ki chalia
aath aaney ka paan
chal mere ghorey hindustan
hindustan ki pehli gali
pehli gali main liaqat ali
liaqat ali ko goli lagi
sari dunya roney lagi
rotey rotey bhook lagi
khalo beta moongphali
moongphali main dana nahin
hum tumharey nana nahin
nana gaye dilli
dilli sey laye billi
billi ne diye do bachey
allah mian sachey
sachey sachey jaingey
bhai ki dulhan laaingey
bhai ki dulhan kali
sau nakhron wali
ek nakhra tuut gaya
bhai ka mun sooj gaya!
**********************
Doost haiN apnay Bhai BhulaaKar
BatieN sari unn ki GarbaR
Rah chalaien tu rastaa bhoolieN
Bus main jaieN tu bastaa bhoolieN
**********************
surriya kee gurriya nahanay lageee
nahanay lagee doob jaanay lagee
baree mushkilon say bachaya ussay
kinaray pay main khainch laya ussay…
**********************
Aik thi achchi chirya pyari
Dana chughti thi bichari
Doosray Chirya uRh kar aaee
Bhooki pyasi thi be-chariAchchi chirya nay jo dekha
us ko apnay paas bulaya
“Aow meri pyari aow
bhooki ho to dana kaao
dana dunka jo kuch paaiN
hum tum mil kar dono khaaeN”
**********************
Chanda mama gol matol,
Kuch to bol, kuch to bol.
Kal tai aadhey, aaj ho gol,
khol bhi do ab apni pol
Raat hote he tum aa jate,
Sang-sath sitare late.
Lekin din mai kahan chip jate,
Kuch to bol, kuch to bol.
**********************
Machhali jal ki hai raani ,
Jeevan uska hai paani ,
Haath lagao, dar jaayegi
Bahaar nikaalo, mar jaayegi
**********************
Subha Savere Aati Titli ,
Phool-Phool par jatti Titli,
Rang Birange pankh sajaye,
Sabke Mann ko bhati Titli.
After reading any thread or post must give yours valuable opinion, appreciation of yours liking is yours esthetical duty, isn't it ?
If I could show you my dreams,
You'd see you mean everything.
More than the earth and the sky
And all the treasures of time
If I could show you my dreams.
Bookmarks